Wednesday, March 26, 2008

Nishaniyan

Well today after Convo. while seeing off my seniors I felt bit nostalgic and thought of writing this poem. So I am writing this poem dedicated to all my seniors and last 9 months spent with them. Disclaimer: Sorry for Using Direct, nick, call-names. If you don’t like any part please excuse me and take it in good spirit please. And due to time crunch and lack of my poetic ability I was not able to add name of each and every one of you but believe me I feel the same for all of you.

Nishaniyan

Jaaten hue rahi aksar chod jatein hai apni nishaniyan
Jo peeche se bayan karti hain unki kahaniyan.

Mere jane wale varishthon ne bhi kari hain kuch baatein baar baar aayon karte hain unka vivran vistar

Mere har varisth ki thi alag baat har kissi ne banai thi alag hi tarah apni pehchaan

Woh kehna Dubey ka Sunai Diya woh poochna Bagla ka Placecom ka kaam kiya
Kehna Maddy ka meeting mein time se aaya karo chahe aake yahan so jaya karo

Chajjar ki bhi thi apni alag hi kahani bus ussey aati thi sponsorship ki jubani

Who Nikunj ka ragging mein bina baat chilana uske sath Chandi ka bhi hero ban jana.
Harbir ki daant who har baat pe lagana Lath ki watt

Karan ke sath ghoomte firangi woh SP ke kapde Kitne satrangi

Annunay ka SAXIM, Woh Bisu ka Maxim
Woh PD ka poker woh Uncle ki Baxim

Woh kunal ki feni woh bhaina ki kheni
Woh A & D ka milke B & C ki leni

woh JLT mein mashoor POm ka dance woh X-Cricket mein yaad aata Jadoo ka stance
na jane kitne hi couple ka pala badha mature hua yahan romance

Woh Pahwa ka Band woh Pragyan ke nakhre

Jeetu Shama ki jodi sabko bhaye kissi ko na akhre

woh milan ka chalana himesh ke gaane, kyun raha Mayank(bajaj) itna chup koi na jaane

woh Mathur(Ankit) ka ulchana idhar udhar bina baat, woh katna sadko pe Gorti ka sari raat
woh ladko ka B’day ke liye himmat jutana,Woh ladkiyon ka offer baar baar thukrana

woh Baba ka xsys woh Uday ka skill woh sabka Xstage mein contribution zero and nill

Woh vaishali ka IRC and karmyogi ka Ximhar

woh "FAMILY" ka aapas mein badhta hua pyar

Halwai ka karna woh sabse ladai woh Rohit ki hoti sirf library meinhi padhai
Vandana and Ruchika ne sirf Kitabon mein hi apni aakhein gadai

Priya ka diagnosis karke sabko samjhana Woh Hota ka sabko PJ sunana
Woh Vibhay ka status mesg ke thru hi batiyana.

Woh subhashish ka hamesha Ma-e-ri gana, Sila ka peeche se bhakti- bhajan gungunana
Middha ka daru peke out ho jana Apni france ki fir kahani sunnana

Suchi ki kitabein or Ruchi ke notes
Rmh Ki ladkiyan sizzling and hot.


Woh Glen Ka ‘Awesome’ woh Mohit ka “ life is zero sum“
Woh Kankariya ka kehna Hum nahi kissi se kam

Woh JLT ki raaton mein peena pilana
Woh Prusthi or Dhillu ka gajab yarana
Woh ladkiyon ka chobey ji ko haath dikahana
Woh sonkhiya ka sote sote class top kar jana

Woh jena ka cricket woh Rawat ki volley
Woh sabne milke jo jum ke kheli hai holi

Agar Do line na likhun to hoga mera Yeh Kavita likhna ek dum vayarth or bekar
Who Mansi ka mujhe Hamesha padhana ek ki jageh 1.5 baar MBA kar jana
Meri to abhi shuru hui hai mba lagta hai mujhe hai adhuri degree hi pana

Har cheez dil mein chod gayi hai apni nishani
Bus chahata hun kabhi khatam na ho yeh kahanhi

Bus anth mein hum yehi kartein hai fariyad na bhoolna humein rakhna humesha yaad.




Tuesday, March 25, 2008

MEHSOOS

MEHSOOS

Pyar mein hoti hai judai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.
Bheed mein Tanhai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.

Li thi pyar mein bhaut si sougat jo maine mehsoos ab ki hai
Suni thi tere pyar ke sahare ki baat par maine mehsoos ab ki hai

Pheri thi jo tune baalon mein ungliyan woh maine mehsoos ab ki hai
Jo rehti thi mere charon taraf teri mahak woh maine mehsoos ab ki hai

Woh tere band hoto mein chupi gehri muskaan maine mehsoos ab ki hai
Woh tere ek ek shabd ke peeche chupi pyari ki baat maine mehsoos ab ki hai

Ab tak to jee raha tha kissi mukalte mein par kya hai jindaghi yeh maine mehsoos ab ki hai
Bheed mein Tanhai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.

Ghar se door tha jaroor per akela kabhi na tha, kya hoti hai judai maine mehsoos ab ki hai
Pyar mein hoti hai judai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.


Raat hoti hai khamosh kyun karti nahi koi baat yeh maine mehsoos ab ki hai
Chand tab bhi falak pe tha or aaj bhi hai falak per kya pyar karne wale ke liye hai chand ki aehmiyat yeh maine mehsoos ab ki hai.

Pyar mein hoti hai judai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.
Bheed mein Tanhai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.