Tuesday, February 24, 2009

Sabse Khatarnak

I believe one of the most simple and to the point poem,which will definately touch your heart if u can relate to it even a bit.

Mehnat ki loot sabse khatarnak nahi hoti,
Police ki maar sabse khatarnak nahi hoti,
Gaddari, lobh ki mutthi sabse khatarnak nahi hoti.
Baithe bithaye pakde jana bura to hai,
Sahmi si chhup me jakde jana bura to hai,
Par sabse khatarnak nahi hoti.

Sabse khatarnak hota hai murda shanti se bhar jana,
Na hona tadap ka, sab kuch sahan kar jana,
Ghar se nikalna kaam par, aur kaam se loutkar ghar aana,
Sabse khatarnak hota hai,
Hamare sapno ka mar jana.

-Paash

Friday, February 20, 2009

Jaaoon Kahan

Bahut himmat ke baad yeh post update kar raha hun. I know she doest like me expressing all this, but ussi se sikha hai dil mein aaye to karo.. :). sorry if i hurt u by this .. no more words just the song..

movie: Billu Barber(2009)
Music : Pritam
Singer: Rahet Fateh Ali Khan
YouTube Link: http://www.youtube.com/watch?v=avH3jQnBYGQ&feature=related

Kab se usko dhondta hoon
Bhegi palko se yahan
Ab jane woh kahan hai

Tha to mera Ashiyan
Kab se usko dhondta hoon
Bhegi palko se yahan
Ab jane woh kahan hai

Tha to mera Ashiyan
Rabba mere mujhko bata
haaye De mujhe kyon yeh saza
Ab sare bandhan chod ke
Yaadon ko tanha chod ke
Mein Ghum se rista jod ke jau kahan
Ek chhota ssa jahan

Chand khushiyon se bhara
Usko mujhse cheen kar hai
Mil gaya tujhko bhi kya
Ek chhota ssa jahan

Chand khushiyon se bhara
Usko mujhse cheen kar hai
Mil gaya tujhko bhi kya
Abb hai fakat sirf jaan

Kar dun mein woh bhi aata
Ab sare bandhan chod ke
Yaadon ko tanha chod ke

Mein Ghum se rista jod ke jau kahan
Ab sare bandhan chod ke
Yaadon ko tanha chod ke
Mein Ghum se rista jod ke jau kahan

Waqt ke kitne nishaan hai
Zarei zarei mein yahan
Doston ke saath ke pal
Kuch hasen Kuch gumjyda
Waqt ke kitne nishaan hai
Zarei zarei mein yahan

Doston ke saath ke pal
Kuch hasen Kuch gumjyda
Sab hua abb to fanna
Bas raha baki dhuan

Ab sare bandhan chod ke
Yaadon ko tanha chod ke
Mein Ghum se rista jod ke jau kahan

Ab sare bandhan chod ke
Yaadon ko tanha chod ke
Mein Ghum se rista jod ke jau kahan

Kab se usko dhondta hoon
Bhegi palko se yahan
Ab jane woh kahan hai

Tha to mera Ashiyan
Rabba mere mujhko bata
haaye De mujhe kyon yeh saza

Ab sare bandhan chod ke
Yaadon ko tanha chod ke
Ab sare bandhan chod ke
Yaadon ko tanha chod ke

Mein Ghum se rista jod ke jau kahan
Ab sare bandhan chod ke
Yaadon ko tanha chod ke
Mein Ghum se rista jod ke jau kahan


Miss ya my Bebo take care.......

Friday, February 6, 2009

3 - Departing

Next song in my latest started series is from the movie Pinjar.
There is this small story attached with this movie.........

When Pinjar released, I never found it interested to see this movie , but once she told me that she saw Pinjar with her family last night and found it very good. and luckily the very next day I found this movie coming on my cable Tv channel.. I still remeber the receptiona nd print of the movie was not good but I saw that movie so that icn discuss abu this movie with her...

This song is originally from Jagjit sing's Marasim( I just find marasim great.....) wasie bhi wen my marasim these days are not fine I am again back to those gazal days and listening to marasim again and again.. I still remember I burnt my marasim audio tape by playing it again and again :P

well about this song.. Lyrics of this song were changed to be fit in Pinjar movie.. both the original and New songs lyrics are classic and any one who is mising anyone can relate :P.. adding bith the versions of lyrics..

Lyrics:

Haath chhute bhi to, rishte nahi chhuta karte
Waqt ki shaak se, lamhe nahi toota karte

(Chhut gaye yaar, na chhuti yaari maula)

Jisne pairon ke nishaan bhi nahi chhode peeche
Us musafir ka pata bhi nahi poocha karte

Toone awaaz nahi di kabhi mudd kar warna
Hum kayi sadiyaan tujhe ghoom ke dekha karte

Beh rahi hai teri jaanib hi, zameen pairon ki
Thak gaye daudte dariyaon ka peeche karte

Haath chhute bhi to, rishte nahi chhuta karte
Waqt ki shaak se, lamhe nahi toota karte

----

Jiski awaaz mein silwat ho, nigaahon mein shikan
Aisi tasbir ke tukade nahi joda karte

Shehad jeene ka mila karta hai thoda thoda
Jaanewaalon ke liye dil nahin toda karte

Lag ke saahil se jo behta hai use behane do
Aise dariyaon ka kabhi rukh nahin moda karte

Haath chhute bhi to, rishte nahi chhuta karte
Waqt ki shaak se, lamhe nahi toota karte


:)

Youtube link:
http://www.youtube.com/watch?v=wfveoxmvzf8

Miss ya Lot
Take care Good Bye

Wednesday, February 4, 2009

2--- Loneliness

I have always liked the lyrics of this song, but I can feel in by depth now :(

A girl is singing this song after losing her love, though the original male version of this song sung by bhupen hazarika is also available but I like this one sung by Ever Great Lata Mangeshkar

Song : Dil Humm Humm Kare
Movie Rudali (1993)

Lyrics:

Dil hoom hoom kare, ghabraaye
Ghan dham dham kare, darr jaaye

Ek boond kabhi paani ki mori ankhiyon se barsaaye
Dil hoom hoom kare, ghabraaye

Teri jhori daaroon sab sukhe paat jo aaye
Tera chhua laage, meri sukhi daar hariyaaye

Dil hoom hoom kare, ghabraaye

Jis tan ko chhua tune, us tan ko chhupaaoon
Jis man ko laage naina, voh kisko dikhaaoon

O more chandrama, teri chaandni ang jalaaye
Teri Oonchi ataari maine pankh liye katwaaye

Dil hoom hoom kare, ghabraaye
Ghan dham dham kare, darr jaaye

Ek boond kabhi paani ki mori ankhiyon se barsaaye
Dil hoom hoom kare, ghabraaye


Youtube Link : http://www.youtube.com/watch?v=_3Sfv29pzn0

Miss Ya