Tuesday, March 23, 2010

kaThin hai raahguzar thoRii duur saath chalo

kaThin hai raahguzar thoRii duur saath chalo

bahut kaRaa hai safar thoRii duur saath chaalo
(kaThin : difficult; raahguzar : path)

tamaam umr kahaaN ko’ii saath detaa hai

maiN jaantaa huuN magar thoRii duur saath chalo

nashe meN chuur huuN maiN bhii tumheN bhii hosh nahiiN

baRaa mazaa ho agar thoRii duur saath chalo

ye ek shab kii mulaaqaat bhii Ghaniimat hai

kise hai kal kii Khabar, thoRii duur saath chalo

abhii to jaag rahe haiN chiraaGh raahoN ke

abhii hai duur sahar thoRii duur saath chalo
(sahar : dawn)

tavaaf-e-manzil-e-jaanaaN hameN bhii karnaa hai

“Faraz” tum bhii agar thoRii duur saath chalo
(tavaaf-e-manzil-e-jaanaaN : circumabulation of the house of beloved)

Monday, March 1, 2010

kyaa ruKhsat-e-yaar kii gha.Dii thii

Faraz's


kyaa ruKhsat-e-yaar kii gha.Dii thii

ha.Nsatii hu_ii raat ro pa.Dii thii

ham Khud hii hue tabaah varnaa
duniyaa ko hamaarii kyaa pa.Dii thii

ye zaKhm hai.n un dino.n kii yaade.n
jab aap se dostii ba.Dii thii

jaate to kidhar ko tere vahashii
zanjiir-e-junuu.N ka.Dii pa.Dii thii

Gam the ki 'Faraz' aa.Ndhiyaa.N thii
dil thaa ki 'Faraz' pankhud.ii thii