Monday, April 26, 2010

Aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa

Ghalib ghazalsara after long.....

1. dard minnat_kash-e-dawa na huaa
maiN na achchaa huaa, bura na huaa
[ minnat_kash-e-dawa = obliged to medicine ]
2. jama'a karate ho kyoN raqeeboN ka ?
ik tamaasha huaa gila na huaa
[ raqeeb = opponent, gila = complaint ]
3. ham kahaaN qismat aazmaane jaayaiN ?
too hee jab KHanjar aazma na huaa
4. kitne sheereeN haiN tere lab ! ki raqeeb
gaaliyaaN khaake be_maza na huaa
[ sheereeN = sweet ]
5. hai KHabar garm unke aane kee
aaj hee ghar meiN boriya na huaa !
[ boriya = mat, here it refers to groceries ]
6. kya woh namrood kee KHudaaee thee
bandagee meiN tera bhala na huaa
[ namrood = an old king who used to say that he was god ]
7. jaan dee, dee huee usee ki thee
haq to ye hai ke haq adaa na huaa
8. zaKHm gar dab gaya, lahoo na thama
kaam gar ruk gaya rawa na huaa
[ rawa = right/lawful ]
9. rahzanee hai ki dil_sitaanee hai ?
leke dil, dil_sitaaN rawa na huaa
[ dil_sitaaN = lover, rawa = agree/admissible ]
10. kuchch to paDhiye ki log kehte haiN
"aaj 'GHalib' GHazalsara na huaa"

Friday, April 9, 2010

Dil ka aalam main kya bataun tujhe

Dil ka aalam main kya bataun tujhe


Ek chehre ne bahut
Ek chehre ne bahut
Pyar se dekha mujhe
Dil ka aalam main kya bataun tujhe
Dil ka aalam main kya bataun tujhe
Ek chehre ne bahut
Ek chehre ne bahut
Pyar se dekha mujhe
Dil ka aalam main kya bataun tujhe..

Wo mere saamne baithi hai magar
Usse kuchh baat na ho paayi hai
Main ishara bhi agar karta hun
Ismein hum donon ki ruswayi hai
Ismein hum donon ki ruswayi hai
Dil ka aalam main kya bataun tujhe
Dil ka aalam main kya bataun tujhe..

Wo to hothon se kuchh bhi kehti nahi
Uske aankhon mein ek kahani hai
Us kahani mein naam hai mera
Mujhpe kudrat ki meharbani hai
Mujhpe kudrat ki meharbani hai
Dil ka aalam main kya bataun tujhe
Dil ka aalam main kya bataun tujhe
Ek chehre ne bahut
Ek chehre ne bahut
Pyar se dekha mujhe
Dil ka aalam main kya bataun tujhe..