Monday, May 24, 2010

Two liners by Ahmed Faraz..

Ye Din Bhi Qayamat Ki Tarah Guzra Hai "Faraz"
Janey Kya Baat Thi Har Baat Pe Rona Aaya...!
-----------------------

Bus Woh ShakS Acha LaGa Ussey Saaf Keh Dala HuMNe "FARAZ"!
Dil Ki Baat Hai HuMSe MunafQaT Na Ho Saki.!
-----------------------

AiK KhaliSh ab Bhi MuJhey Baichein KaRTi Hai "Faraz"!
Sun K Meri MaRne Ki KhabaR Wo Roya Kyun Tha.!
----------------------

Bohat ajeeb hen yeh bandishen Muhabbat ki Faraz
Na us ne qaid me rakha na hum farar huway...
--------------------------

Kuch is tarah nazar andaaz ho gay Faraz
Jesay izafi hurf thay hum teri zindgi ki kitaab me..
-----------------------

Tujh se bichar ke bachpan ka yeh bhaid khula
Kiyun likhta tha main pairoon pe"tanha tanha
------------------------

Koi nahin hay merey jaisa charoon aur
Apney gird ek bheer saja ke"Tanha"hoon
----------------------

Pyar mein ik he mousam hai baharon ka"Faraz"
loh kaisey mousamon ki tarhan badal jatey hain
---------------------------

Jab khizan aye gi to laut aye g wo bhi "Faraz"
wo baharon mein zara kam he nikla karta hai
--------------------------

Jis ko bhi chahaa use shiddat se chaahaa hai Faraz
Silsilaa tuta nahiin dard kii zanjiir kaa
----------------------------

aaj dil khol ke roye hain to yuuN Khush hai 'Faraz'
chand lamhon kii ye raahat bhii barii ho jaise
------------------------------------------

Hijr Ki Raat Bohat Lambi Hai Faraz
Aao Uski Yaad Mein Thak K So Jaein
------------------------------------------

In baarisho se dosti achchi nahi 'Faraz'
Kachcha tera makaan hai kuch to khayaal kar
------------------------

Tum bhi khafa ho log bhi beraham hain dosto
Ab ho chala yakin ke bure hum hain dosto
------------------------

zabt lazim hai magar dukh hai qayaamat ka 'Faraz'
zaalim ab ke bhi na roye ga to mar jaye ga
------------------------

Karun na yaad agar kis tarah bhulaaun use
Ghazal bahana karun aur gungunaau use
------------------------

Is se pehle ke hum bewafaa ho jaayein
Kyon na aye dost hum juda ho jaaye
-----------------------------------------

Ungliaan aaj bhi esi soch men gum hain FARAZ.
us ne kaisay naey hath ko thmaa ho ga.
------------------------


Dunia ne teri yaad se beghana kar diya
tujhse bhi dilfareb hain gham rozgar ke
------------------------

jitni shiddat say tumne mujhe zakhm dya hai FARAZ
Itni shiddat say maine tumhe chaha kahan tha
------------------------


Ruka hua hai ajab Dhoop chhaaon ka Mausam
Guzar raha hai koi dil se Baadalon ki tarah
------------------------

Shab-e-Wisaal mein roshan chiraagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka
------------------------

dil kisi haal pe maane hi nahi jaan-e-'Faraz'
mil gaye tum bhi to kya aur na jaane maange
------------------------

Muhabbat ke baad muhabbat mumkin hai Faraz
Magar toot ke chahna sirf aik baar hota hai !
------------------------

Faqat is dars e sona chor diya " Faraz"
Wo khawab mein bhi bichray to hum mar jayienge
------------------------

NAHI WO SHAKHS MUQADAR MAIN PHIR B US SE MILTAY HAIN FARAZ
BARA PUR-LUFT LAGTA HAI MUQADAR KO SAZA DENA…………

------------------------

woh roz dobte hoe suraj ko dekhta hai faraz
kash me bhi kisi sham ka manzar hota...!
------------------------

Ji to karta hai usay mufat mein jaan de do'on Faraz
Itnay masoom kharidaar se kiya lena dena..........!!
-----------------------

US SHAKS SA FAQAT ITNA TALUK HAI FARAZ
AGER WO PERSHAN HO TO MUJAY NEEND NAHI ATTI
------------------------

Rohe Ga Iss Qadar,Wo Meri Laash se Lipat Ke Faraz
Agar Iss Baat Ka Patha Hotha tho Kab K Mar Gaye Hote.
------------------------


Har koi Apni hawa main Mast Phirta hai FARAZ
Shehr-e-Na pursaan main teri Chashm-etar dekhega kon
------------------------

Khud ko chuntay huway din saara guzar jaata hai "Faraz"
Phir hawa shaam ki chalti hai tu bikhar jaate hein..!
----------------------------------


Ab osay roz na sochoon to badan toot-ta hai FARAZ...!!
ik umer ho gayi us ki yaad ka nasha kartay kartay...
--------------------------------------

Ankhain khuli to jag uthi hasratain FARAZ...
usko bhi kho diya jisey paya tha khwab main.....
----------------------------------


her roz dil udaas hota hai or shaam guzar jaati hai "faraz"..
ek roz sham udas hoga or huma guzar jaaynge..!
--------------------------------------------------------------------


Tawaaf-e-manzil-e-jaana hamain bhi karna hai,,
FARAZ tum bhi agar thori door sath chalo . . !
----------------------------------

SaDa RoPoSh RaHtay HaiN WoH PAThAr FaRaz.......!!!!
EmaRat JiN Kay KaNdhOon Pay Khari Ho........!!!!
-----------------------------------

KoUn ToLay Ga Abb HeRoOn Main HaMAraAy AnSoO FaRaz.....!!!!
WoH Jo DaRd Ka TaJir Tha DuKaN ChOR GaiYa.......!!!!
----------------------------------


WoHJISskayPAsS RaHta Tha DoStoOn Ka HAjOom....!!!!
SuNa Hay FaRaZz KaL RaAt EhSaAs_e_TaNHAi say Mar gaiYa.....!!!!
----------------------------------

wo mujay apni zindge samjti ha Faraz
kia usay muj par aitibar nahi
-----------------------------------

shiddate dard se sharminda nahi meri wafa FARAZ
dost gahre han to phir zakhm bhi gahre honge..........
----------------------------------

Bara Naaz Tha Un Ko Apnay Parday Pay Faraz
Kal Raat Wo Khuwab Mein Sar-E-Aam Chalay Aaye......
-------------------------------------------------------------------

USKAY SHEHAR MAIN KI GUFTOGO HAWION SAY 'FARAZ'
YEAH SOCH KAR KAY HAWION MAIN SANSAIN THI USKI
-------------------------------


Kahin tanha na kar dy tujhy munfarid rhny ka shok Faraz
Jab din dahalay to kisi say haal-e-dil kah diaa karr
-------------------------------

Wo bzahir to mila tha ik lamhay ko Faraz
umar saree chayee usko bhulany k liay
-------------------------------

Apni nakami ka ik yah bhi sabab hy Faraz
cheez jo mangty hain sab say juda mangty hain
---------------------------------

Gila karain to kasay karain Faraz
wo bewafa sahi magar intakhab to mera hai
---------------------------------

Kitni Nafrat thE ussE Teri TasveeR sE FaraZ..
KE apnA haTh hi Jala DalA Teri TasveeR jalanE k bAAd
----------------------------------


uskE pyaaR ka NashA itnA thA FaraZ..
Ko logoN Ny MerA NaaM SharaBi RakH diyA
-------------------------------------------------------------------

MojY kiSi sY Bhalai ki Ab koi Tawaqo Nahi FaraZ..
Main Adatan Sab Sy Keh raHa hoN mujhE DuaoN Mein Yaad rakhNa
----------------------------------

Hm nE Sookhi hui ShakoN pe Lahu Chhirka tha FaraZ..
phool Agr Ab b Na khilTe To KayamaT Hoti
-------------------------------------------------------------------

Hum Wo Patty Nahi Jo Shakh Se Gir Jaty Hain FaraZ..
Kehdo Toofano Say Zara Okat Main Rahen..
----------------------------------

ab milain ge to khubb rulayain ge us sangdil ko faraz,
suna hy rote mai usko lipat jane ki aadat haay
--------------------------------------

Wo bhi kiya ajeeb shaks tha Faraz k jis ki zaat par
jab aaitbar barrh gia to ikhtyar ghatt gia
-----------------------------------

Teri bewafion par mar jany ko ji chahy Faraz
Tuj main wafa hoti too kiaa hoota
----------------------------------

Meray in ansoon ko kaun dekhay ga Faraz
aaj kal tou mausam bhee barishoon ka hai
-------------------------------------------------------------------

Ji yeh chaahta hai kay jaan hi dy dein Faraz
itnay haseen khareedar sy kyaa lena dena .
----------------------------------

Ghar say niklay thay ke dunya ne pukara tha Faraz
Abb fursat miley dunya se tou ghar jain kahein
--------------------------------------------------------------------

woh mujhy roz parindoo ki misal data hai FaraZ
saaf saaf nahi kehta mera shahar chOOr do
----------------------------------

hum ne is khayl se tasbih he toor de.... FARAZ...!
kya gin k uska naam lon jo behisab hai....

----------------------------

akal waloon k mukadar main kahan zook e janoon hay faraz
ishq walay hain jo hr chez luta daytay hain
----------------------------------

zindagi bhar na sath daynay ki tum khao kasam faraz
ham nay sanso ko b juda hotay daykha ahy
----------------------------------

Ab neend say kahoo hm say sulah kar lay Faraz
Wo rooth gaey jin k liay hm jaga karty thay
----------------------------------


Nai wo shaks kismat main phir b us say milty hain Faraz
bara purlutf lagta hy mukadar ko saza dana
----------------------------------

koi muntazir hy uska kitni shiddat se FARAZ.....
wo janta hy magar anjan bana rehta hy!!!
--------------------------------------------------------------------

wo her bar mujh sa nazerain chura ata ha faraz ...
main kagaz per bhi bna kar dekhi han ankhin us ki
----------------------------------------------------------------------

mohabbat kar suktay ho to RAAB sakaro faraz..
miti ka putlon sa kabhi wafa nhi milti

----------------------------------

kuchh na kisii se bolenge

kuchh na kisii se bolenge
tanhaaii mein ro lenge

ham berahabaron kaa kyaa
saath kisii ke ho lenge

[berahabaron=pathless travellers]

Khud to hue rusavaa lekin
tere bhed na kholenge

jiivan zahar bharaa saagar
kab tak amrit gholenge

niind to kyaa aayegii 'Faraz'
maut aaii to so lenge

Tuesday, May 18, 2010

Mana tere bina meri zindagi adhoori hai

Rhymed few of these lines while driving to office today.. Decided to complete it .. Outcome is as below.. Do leave your comments suggestions :


Mana tere bina meri zindagi adhoori hai ..
Per jane se tere mujhe jeene ka maksad mil gaya…

Mana ke hun akela iss dharti gagan mein.
Per teri judai mein khud mein hi ek sathi mil gaya..

Sang reh ke tune khuli aahkon se sapne itne dikhlaye.
Ki Ab apni aankhon ne neend ko hi bhula diya..

Acha kiya sanam Dhoke se hi sahi.
Ki khoye the tere pyar mein humko jaga diya..

Tere jane ke baad hi maine jeena seekha hai.
Jab sath tha tere to main nashe mein tha..

Utri hai barson ki chadi hui ankhon se ab.
Pehle hosh mein bhi tha to main mehkade mein tha..

Teri bewafai pe bhi yeh pagal dil “Divay”.
Nazar bhar ke tujhe duawein deta hai..

Raat baki hai Chand, ki abhi na bhuj.
Woh jahan bhi hai tumhe aaj bhi dekhta hai..


~~~~ Divay Gupta~~~~

jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho

jis simt bhii dekhuu.N nazar aataa hai ke tum ho
ai jaan-e-jahaa.N ye ko_ii tum saa hai ke tum ho

ye Khvaab hai Khushbuu hai ke jho.nkaa hai ke pal hai
ye dhundh hai baadal hai ke saayaa hai ke tum ho

is diid kii sa_aat me.n ka_ii rang hai.n larazaa.N
mai.n huu.N ke ko_ii aur hai duniyaa hai ke tum ho

dekho ye kisii aur kii aa.Nkhe.n hai.n ke merii
dekhuu.N ye kisii aur kaa cheharaa hai ke tum ho

ye umr-e-gurezaa.N kahii.n Thahare to ye jaanuu.N
har saa.Ns me.n mujh ko ye lagataa hai ke tum ho

har bazm me.n mauzuu-e-suKhan dil zad_gaa.N kaa
ab kaun hai shiirii.n hai ke lailaa hai ke tum ho

ik dard kaa phailaa huaa saharaa hai ke mai.n huu.N
ik mauj me.n aayaa huaa dariya hai ke tum ho

vo vaqt na aaye ke dil-e-zaar bhii soche
is shahar me.n tanhaa ko_ii ham saa hai ke tum ho


aabaad ham aashuftaa saro.n se nahii.n maqtal
ye rasm abhii shahar me.n zindaa hai ke tum ho

ai jaan-e-'Faraz' itanii bhii taufiiq kise thii
ham ko Gam-e-hastii bhii gavaaraa hai ke tum ho

Monday, May 10, 2010

aashiqii be-dilii se mushkil hai

aashiqii be-dilii se mushkil hai


aashiqii be-dilii se mushkil hai
phir muhabbat usii se mushkil hai

ishq aaGaaz hii se mushkil hai
sabr karanaa abhii se mushkil hai

ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
dushmanii dostii se mushkil hai

jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
bevafaa_ii usii se mushkil hai

ek do duusare se sahel na jaan
har ko_ii har kisii se mushkil hai

[sahel=approachable]

tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
vaapasii us galii se mushkil hai

ab naye saal kii mohalat nahii.n milane vaalii

ab naye saal kii mohalat nahii.n milane vaalii


ab naye saal kii mohalat nahii.n milane vaalii
aa chuke ab to shab-o-roz azaabo.n vaale

[mohalat=time; shab-o-roz=night and day; azaab=pain/misfortune]

ab to sab dashnaa-o-Khanjar kii zubaa.N bolate hai.n
ab kahaa.N log muhabbat ke nisaabo.n vaale

[dashnaa=dagger]

zindaa rahane kii tamannaa ho to ho jaate hai.n
faaKhtaao.n ke bhii kirdaar uqaabo.n vaale

na mere zaKhm khile hai.n na teraa rang-e-hinaa
mausam aaye hii nahii.n ab ke gulaabo.n vaale

Tum se hi - Jab we met

One of my fav song from one of my fav movie....


Na hai yeh pana
Na Khona hi hai
Tera Na hona jaane
Kyun hona hi hai

Tum se hi din hota hai
Surmaiye shaam aati
Tumse hi tumse hi

Har ghadi saans aati hai
Zindagi kehlati hai
Tumse hi tumse hi

Na hai yeh pana
Na Khona hi hai
Tera Na hona jaane
Kyun hona hi hai

Aankhon mein ankhne teri
Bahoon mein baahein teri
Mera na mujhme kuch raha hua kya
Baaton mein baatein teri
Raatein saugatein teri
Kyun tera sab yeh ho gaya
hua kya
Mein kahin bhi jata hoon
Tumse hi mil jata hoon
Tumse hi tumse hi

Shoor mein khamoshi hai
Thodi se Behoshi hai
Tum se hi tum se hi

Aadha sa wada kabhi
Aadhe se jayada kabhi
Jee chahe karlu is trah wafa ka
Chode na chote kabhi
Tode na tute kabhi
Jo dhaga tumse jud gaya wafa ka

Mein Tera sharmaya hoon
Jo mein ban paya hoon
Tumse hi tumse hi
Raste miljate hai
Manzile miljati hai
Tumse hi tumse hi

Na hai yeh pana
Na Khona hi hai
Tera Na hona jaane
Kyun hona hi hai

Sunday, May 9, 2010

dil hee to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aaye kyoN

1. dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?

[ sang = stone, KHisht = brick ]

2. dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?

[ dair = temple, haram = mosque, dar = gate, aastaaN = abode,
rehguzar = path/way ]

3. jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?

[ jamaal = beauty, faroz = shining/luminous, meher = sun,
neem_roz = mid day, nazzaara_soz = beautiful/worth seeing ]

4. dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ?

[ dashna = dagger, GHamza = amorous glance, jaaN_sitaaN = distroying
life, naawak = a kind of arrow, aks = image ]

5. qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?

[ hayaat = life, band-e-Gham = conceled sorrows,
nijaat = release/liberation ]

6. husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN ?

[ husn_zan = favourable view, bulhawas = slave of passions/very
greedy, 'eitmaad = reliance/dependance ]

7. waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN ?

[ GHuroor = pride, iz'z-o-naaz = respect and beauty,
hijaab = veil/modesty, paas = regard, waz'a = behaviour ]

8. haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?


[ parast = worshipper, deen = religion/faith ]

9. 'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?


[ KHasta = sick/injured, zaar-zaar = bitterly ]