Tuesday, March 25, 2008

MEHSOOS

MEHSOOS

Pyar mein hoti hai judai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.
Bheed mein Tanhai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.

Li thi pyar mein bhaut si sougat jo maine mehsoos ab ki hai
Suni thi tere pyar ke sahare ki baat par maine mehsoos ab ki hai

Pheri thi jo tune baalon mein ungliyan woh maine mehsoos ab ki hai
Jo rehti thi mere charon taraf teri mahak woh maine mehsoos ab ki hai

Woh tere band hoto mein chupi gehri muskaan maine mehsoos ab ki hai
Woh tere ek ek shabd ke peeche chupi pyari ki baat maine mehsoos ab ki hai

Ab tak to jee raha tha kissi mukalte mein par kya hai jindaghi yeh maine mehsoos ab ki hai
Bheed mein Tanhai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.

Ghar se door tha jaroor per akela kabhi na tha, kya hoti hai judai maine mehsoos ab ki hai
Pyar mein hoti hai judai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.


Raat hoti hai khamosh kyun karti nahi koi baat yeh maine mehsoos ab ki hai
Chand tab bhi falak pe tha or aaj bhi hai falak per kya pyar karne wale ke liye hai chand ki aehmiyat yeh maine mehsoos ab ki hai.

Pyar mein hoti hai judai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.
Bheed mein Tanhai suni thi maine par mehsoos ab ki hai.

No comments: