Wednesday, July 22, 2009

Tere Khushboo Mein Basey Khat

I believe every love story is same .. that is why lyricist are able to write something which is just so close to you, and to which u can relate too.. and if ur listening that in voice of Jagjit Singh.. trust me its a bad day for you...simply the bad day

Tere Khushboo Mein Basey Khat, Main Jalata Kaise
Pyaar Mein Doobe Huve Khat, Main Jalata Kaise
Tere Haathon Se Likhe Khat, Main Jalata Kaise

Jinko Duniya Ki Nigahon Se Chhupaye Rakha
Jinko Ek Umr Kaleje Se Lagaye Rakha
Deen Jinko, Jinhe Imaan Banaye Rakha
Tere Khuhboo Mein Basey Khat, Main Jalata Kaise

Jinka Har Lafz Mujhe Yaad Paani Ki Tarha
Yaad They Mujhko Jo Paighaam E Zubaani Ki Tarha
Mujhko Pyaare They Jo Anmol Nishaani Ki Tarha

Tere Khushboo Mein Basey Khat, Main Jalata Kaise

Toone Duniya Ki Nigahon Se Jo Bachkar Likhe
Saal Ha Saal, Mere Naam Barabar Likhe
Kabhi Din Mein Toh Kabhi Raat Ko Uthkar Likhe

Tere Khushboo Mein Basey Khat Main Jalata Kaise
Pyaar Mein Doobe Huve Khat, Main Jalata Kaise
Tere Haathon Se Likhe Khat, Main Jalata Kaise

Tere Khat Aaj Main Ganga Mein Baha Aaya Hoon
Aag Behte Huve Paani Mein Lagaa Aaya Hoon



No comments: