Wednesday, September 16, 2009

Hum gujre lamho ko yaad karte hain!

Wrote this one, on MSIT-IT farewell, I believe June, 11th 2006.. came across it today hence thought of posting it here.... not that good, but yeah special as related to colg life, wrote it 10 mins prior to reciting it in fromt of whole IT dept.. :P



Aaj waqt ki dehlej per khade ho kar hum gujre lamho ko
yaad karte hain!
He lamha najro ke samaksh hai hamare, woh beete samay
ko hum aaj yaad karte hain!!

Aaj sankalan karte hain in chaar saalon ka humnekya
khoya or kya paya
Kuch dost,kuch yaaden,kuch rishte, kuch naate
Jo yaad aane per,aankhon mein ashru chhod jate!!

Woh atkheliyan, woh saheliyan woh unki adayen
Woh teachers , woh professors woh unki sajayen!!

Is gujarte lamhen se hum rukne ki fariyaad karte hain
Aaj waqt ki dehlej per khade ho kar hum gujre lamho ko
yaad karte hain!

Woh parties, woh nightouts woh jhagde woh ladai
In sab ke beech hoti last night padahai!!

Woh Radhika ka sharmana, woh Nidhi ka itrana
Who Rajat ka classes ke beech proxy lagana

Woh Charu ki kitaben, woh Heena ke notes
Woh sari juniors sizzling and hot

Woh Chummi ke baal, who Neeraj ke gaal
Woh Gaurav ke classes mein dher saare sawal

Atul ki modeling, Manni ki coding
Ravish ki idding or Ayush ki driving

Hum aaj sab yaad karte hain!

Woh Canteen ki sharten, woh corridor ke chakkar
Woh Saini ki ladkion se hoti bewajah takkar

Woh football ke match woh hostel ki raaten
Woh hum sab mil ke besura gaate

Per aaj yeh sab khatam sa lagta hai………
Is gujarte lamhen se hum rukne ki fariyaad karte hain
Aaj waqt ki dehlej per khade ho kar hum gujre lamho ko
yaad karte hain!!

No comments: