Sunday, December 28, 2008

main iss gehri neend se jaag jana chahta hun

main iss gehri neend se jaag jana chahta hun
iss bedard jindagi se kahin door bhaag jana chahta hun

kab se raha dokhe mein iss jindagi ke phalsafe mein
socha kya mila kya iss jidagi ke mele mein
socha tha ek baar mila hai mujhe pyaar
uss pyaar ke sahare basana chahta tha main apna sansaar
apno ko chod usko apna bana liya
uske liye najane kis kis ko daga diya
par iss jindagi ne fir apna rang dikha diya
apna jisse samjha usne paraya bana diya
main iss jindagi ki moh moh maya sab tyaag jana chata hun
main iss gehri neend se jaag jana chahta hun
iss bedard jindagi se kahin door bhaag jana chahta hun

woh hasmukh sa chehra woh surkh hoth se barasta pyaar
main tumhari hun main tumhari hun jisse sunta tha main har baar
jisne sikhayi thi mujeh kabhi safalta ki raah
jisne jagayi thi kabhi jeene ki chah
jisne iss pathar dil ko ghis ghis ke mom kar diya tha
jisne mere jindage ke canvas pe rang bhar diya tha
ussine aaj aisa chehra dikha dikha diya 
ek soye hue insaan ko aina dikha diya
jisko samjhte the hum bhagwaan ussey rakshash bata diya
vishwas ko jisne vishwass ghat bata diya
pyar ko mere jisne chalava bata diya
mujeh chod ke jisne dusre ko apna bana liya
main aise dhokhe or chalve roopi samandar chalang jana chahta hun
main iss gehri neend se jaag jana chahta hun
iss bedard jindagi se kahin door bhaag jana chahta hun

main iss gehri neend se jaag jana chahta hun
iss bedard jindagi se kahin door bhaag jana chahta hun

No comments: