1. rone se aur ishq meiN be_baak ho gaye
dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye
[ be_baak = outspoken/bold, paak = pure/clean/holy ]
2. sarf-e-baha-e-mai hue aalaat-e-maikashee
the; ye hee do hisaab, so yoN paak ho gaye
[ sarf = expenditure, baha = value/price, mai = bar,
aalaat = instruments/apparatus, maikashee = boozing ]
3. ruswa-e-dahar go hue aawaargee se tum
baare tabeeyatoN ke to chaalaak ho gaye
[ dahar = world, baare = atlast ]
4. kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be_asar
parde meiN gul ke laakh jigar chaak ho gaye
[ chaak = slit/torn ]
5. pooche hai kya wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka
aap apnee aag se KHas-o-KHaashaak ho gaye
[ wujood = existence, adam = non existence,
KHas-o-Khaashaak = destroyed ]
6. karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila
kee ek hee nigaah ki bas KHaak ho gaye
[ taGHaaful = negligence, gila = complaint, KHaak = dust/ashes ]
7. is DHang se uTHaayee kal usne 'Asad' ki laash
dushman bhee jisko dekhke GHamnaak ho gaye
[ GHamnaak = grief stricken ]
2 comments:
hmm n u call ursrlf a simple guy.... itni mushkil cheezein likhte he kyu ho jiski har ekk line ka matlab bi sath likhna pade ...
he he maine nahin likha hai .. Ghalib ka hai.. :P
n thx for even thinking ki i can write something like this :P
Post a Comment