Thursday, November 25, 2010

Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai

Arguably my fav song.. Lyrical beautyby Gulzar at its best.... combined with melodious voice of asha bhosle.. and dialogue delivery of Naseer and Rekha..

Mera kuch saamaan tumhare paas pada hai -2

saavan ke kuch bheege bheege din rakhe hain

aur mere ik khat main lipti raat padi hai

vo raat bhulaa do, mera vo saamaan lauta do - 2

mera kuch saamaan tumhaare paas pada hai - 2



patjhad hai kuch ... hai na ?

o ! patjhar main kuch patton ke girne kee aahat

kaanon main ek baar pahan ke laut aai thee

patajhad kee vo saakh abhi tak kaanp rahi hai

vo saakh gira do, mera vo saamaan lauta do - 2



ek akeli chhataree main jab aadhe aadhe bheeg rahe the - 2

aadhe sookhe aadhe geele, sukha to main le aaye thee

geela man shayad bistar ke paas pada hovo bhijwa do,

mera vo saamaan lauta do

ek so sola chaand ki ratein, ek tumhare kaandhe ka til - 2

geeli mehendi ki khushbu, jhoot mooth ke shikwe kuch

jhooth mooth ke wade sab yaad karaa do

sab bhijwa do, mera vo saamaan lauta do - 2

ek ijaazat de do bas, jab isako dafanaaungee

main bhi vaheen so jaungee


main bhi vaheen so jaungee

No comments: