Scribbled on 25th Dec 2010 in latest trip to Jim Corbett in a very serene Place :)
Khicdi birbal ki bina aag ke paka nahin karti..
Jindagi sirf Khayalon se kabhi kata nahin karti..
Khud ki tanhai mitane ko khud hi kadam uthane hain..
Bina mare to Kabhi jannat bhi dikha nahin karti
Aaakhein chaiye pyar ko,Chand dikhta hai sabhi ko..
Mehboob ki tasveer per usmein sabko dikha nahin karti
Issey khushnasseebi samjhun ya apni badnaseebi janu..
Tu bhi karti hai mujhse ishq per bayan nahin karti...
Na main tera hi hun na tu meri banegi..
Jindagi bhi har sawaal ka jawaab diya nahin karti..
Pyar tujhse aaj bhi hai tu hai aaj bhi khayalon mein.
Per jindagi sirf khayaloon se kabhi kata nahin karti..
5 comments:
This was supposed to be As Romantic as Corbett!!! Ped nadi Pahad, sannata, Koi hath, koi sath, Sher!!! Tere ko Corbett mein bhi Chand taare ki hi kavita yaad aayi :D
Bhai dekhoge to yeh bhi romantic hai nahin dekh paoge to bilkul nahin..
"mehbbob ki tasveer usmeinsabkodikha nahinkarti.."
raat ko likhi thi yaar only thing visible was chand n tare :P:P
Birbal ki khichdi mein bhi Kitna Romance hai :D
Mere aankhen woh romance dekh nahi rahi!!! Corbett Vs Birbal ki Khichdi :D
Good hai.
Waise
Jindagi roshan khayaalo se kat bhi sakti hai, gar dil main ek aas ho;
Zanaat yahii zamee par mil bhi sakti hai,
gar woh sanam pehlu main ho, paas ho
Jehi to MJ..
Sanam aas paas ho .. na ki sirf pass hone ki aas ho :P
"Jindagi sirf khayalon se kata nahin karti" :P
Post a Comment